Monday, July 25, 2016

Pankhuri - A past to be remembered (Re-edited)

Iteefaq se hum mile the,    
Jaane kab pehchan hui …   
Kuch din thodi baatein ki,
Aur dosti ki shuruvat hui …

Naadan si aapki harkatein,
Aadat hamari bhi ban gayi …
Jaise badti rahi dosti apni,
Rishto ko bhi vo badal gayi …

Kam hamare alag alag the,
Phir bhi roz mulakat hoti …
Na jaane aap kab ruthe ki,
Din mein bhi tab raat hoti …

Jis din thoda has deti thi aap,
Shaam haase bhari ho jati thi …
Ghumne phirne ki aadat aapki,
Humme har kahin pahuchati thi …

Phir aaya alag hone ka mauka,
Vo pal jab bichchadne the hum …
Duriyan ab badne lagi hamari,
Kyu saath nahi rehne ko the hum …

Aate jate bas milte rehna aap,
Kabhi  bhi bhul na jaana humhe …
Yaad ab hamesha rahegi aapki,

Aapne jo itna sataya hai humhe …

No comments:

Post a Comment